subh ke parinde jab chahchahane lagte hain
sub.h ke parinde jab chahchahāne lagte haiñ
mere dasht ke manzar muskurāne lagte haiñ
jab bhī ashk āñkhoñ meñ jhilmilāne lagte haiñ
ghar ke ham charāġhoñ ko ḳhud bujhāne lagte haiñ
zulmateñ ujāloñ meñ ġharq hone lagtī haiñ
vo naqāb chehre se jab uThāne lagte haiñ
zulm-o-jaur kī rasmeñ intihā ko chhūtī hai
log jab bhī bātil ko sar chaḌhāne lagte haiñ
ek baar jis par vo nazreñ Daal lete haiñ
jism ke vahī kapḌe kyoñ purāne lagte haiñ
jab tasalliyāñ jhūTī koī dene lagtā hai
ham bhī pī kar ashk-e-ġham muskurāne lagte haiñ
oḌh kar udāsī ko lauTte haiñ jab jab bhī
aa.ine se ham nazreñ kyoñ churāne lagte haiñ
naam par taraqqī ke shahr meñ hamāre ab
bastiyāñ ujaḌtī haiñ kār-ḳhāne lagte haiñ
un kī yaad aate hī jaane kis liye 'rizvāñ'
ham udaas naġhmoñ ko gungunāne lagte haiñ
subh ke parinde jab chahchahane lagte hain
mere dasht ke manzar muskurane lagte hain
jab bhi ashk aankhon mein jhilmilane lagte hain
ghar ke hum charaghon ko KHud bujhane lagte hain
zulmaten ujalon mein gharq hone lagti hain
wo naqab chehre se jab uThane lagte hain
zulm-o-jaur ki rasmen intiha ko chhuti hai
log jab bhi baatil ko sar chaDhane lagte hain
ek bar jis par wo nazren Dal lete hain
jism ke wahi kapDe kyon purane lagte hain
jab tasalliyan jhuTi koi dene lagta hai
hum bhi pi kar ashk-e-gham muskurane lagte hain
oDh kar udasi ko lauTte hain jab jab bhi
aaine se hum nazren kyon churane lagte hain
nam par taraqqi ke shahr mein hamare ab
bastiyan ujaDti hain kar-KHane lagte hain
un ki yaad aate hi jaane kis liye 'rizwan'
hum udas naghmon ko gungunane lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.