subh ke ujle jaziron pe bhi tari hui sham
sub.h ke ujle jazīroñ pe bhī taarī huī shaam
sahme sahme haiñ manāzir ki shikārī huī shaam
har taraf raushnī-o-rang kā raqs-e-paiham
yaad aatī hai tire saath guzārī huī shaam
jam ga.iiñ gahrī udāsī kī taheñ palkoñ par
oḌh ke terā ḳhayāl aur bhī bhārī huī shaam
kho ga.e jaane kahāñ sard havāoñ ke sitār
mastī-o-kaif ke ehsās se aarī huī shaam
umr bhar dhuup kī poshish rahī ḳhuddārī par
ham ne pahnī na harīfoñ kī utārī huī shaam
āḳhirash Duub ga.ī apne hī sannāToñ meñ
merī pur-shor tamannāoñ se haarī huī shaam
dosto ham ko tumhārī sabhī sharteñ manzūr
tum agar sub.h ke tālib ho hamārī huī shaam
'mīr'-o-'ġhālib' hue 'hasrat' hue yā 'faiz'-o-'firāq'
sab ġhazal vāloñ pe sau jaan se vaarī huī shaam
ek ham hī ba-sar-o-chashm fidā the is par
'jauhar' ab jaa.e kahāñ hijr kī maarī huī shaam
subh ke ujle jaziron pe bhi tari hui sham
sahme sahme hain manazir ki shikari hui sham
har taraf raushni-o-rang ka raqs-e-paiham
yaad aati hai tere sath guzari hui sham
jam gain gahri udasi ki tahen palkon par
oDh ke tera KHayal aur bhi bhaari hui sham
kho gae jaane kahan sard hawaon ke sitar
masti-o-kaif ke ehsas se aari hui sham
umr bhar dhup ki poshish rahi KHuddari par
hum ne pahni na harifon ki utari hui sham
aaKHirash Dub gai apne hi sannaTon mein
meri pur-shor tamannaon se haari hui sham
dosto hum ko tumhaari sabhi sharten manzur
tum agar subh ke talib ho hamari hui sham
'mir'-o-'ghaalib' hue 'hasrat' hue ya 'faiz'-o-'firaq'
sab ghazal walon pe sau jaan se wari hui sham
ek hum hi ba-sar-o-chashm fida the is par
'jauhar' ab jae kahan hijr ki mari hui sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.