subh ki dhup ye masum faza rahne de
sub.h kī dhuup ye ma.asūm fazā rahne de
aur kuchh der lab-e-gul pe duā rahne de
aise mausam meñ koī phuul kahāñ khiltā hai
maiñ agar khil bhī gayā huuñ to khilā rahne de
fasl-e-nau ham tujhe parkheñge magar shart ye hai
pichhle mausam kā bhī ik zaḳhm harā rahne de
band kamre ke darīche kā taqāzā bhī samajh
saañs lene ke liye kuchh to havā rahne de
aaj āñkhoñ meñ koī raat ga.e aa.egā
aaj kī raat ye darvāza khulā rahne de
raat kā vaqt hai aur raah bhī suunī hai 'shakīl'
dil kī dahlīz pe ik diip jalā rahne de
subh ki dhup ye masum faza rahne de
aur kuchh der lab-e-gul pe dua rahne de
aise mausam mein koi phul kahan khilta hai
main agar khil bhi gaya hun to khila rahne de
fasl-e-nau hum tujhe parkhenge magar shart ye hai
pichhle mausam ka bhi ek zaKHm hara rahne de
band kamre ke dariche ka taqaza bhi samajh
sans lene ke liye kuchh to hawa rahne de
aaj aankhon mein koi raat gae aaega
aaj ki raat ye darwaza khula rahne de
raat ka waqt hai aur rah bhi suni hai 'shakil'
dil ki dahliz pe ek dip jala rahne de
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 52)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.