Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh ko hai agar to sham nahin

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

subh ko hai agar to sham nahin

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    sub.h ko hai agar to shaam nahīñ

    zindagī koī qiyām nahīñ

    jam.a kartī huuñ daulat-e-duniyā

    kyā mirā ye ḳhayāl-e-ḳhām nahīñ

    ahl-e-duniyā se duur rahtī huuñ

    ārzū-e-numūd-o-nām nahīñ

    ham ne ek ik ko aazmā dekhā

    dostoñ meñ vafā naam nahīñ

    jis se uqbā merī sañvar jaatī

    zindagī meñ huā vo kaam nahīñ

    jā-e-ibrat hai ye jahān 'nazar'

    dil lagāne ye maqām nahīñ

    subh ko hai agar to sham nahin

    zindagi ka koi qiyam nahin

    jama karti hun daulat-e-duniya

    kya mera ye KHayal-e-KHam nahin

    ahl-e-duniya se dur rahti hun

    aarzu-e-numud-o-nam nahin

    hum ne ek ek ko aazma dekha

    doston mein wafa ka nam nahin

    jis se uqba meri sanwar jati

    zindagi mein hua wo kaam nahin

    ja-e-ibrat hai ye jahan 'nazar'

    dil lagane ka ye maqam nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now