subh ko sham karta rahta hun
sub.h ko shaam kartā rahtā huuñ
mushkiloñ se guzartā rahtā huuñ
kuchh na kuchh kaam kartā rahtā huuñ
ḳhud pe ilzām dhartā rahtā huuñ
ḳhushk pattoñ kī tarah sub.h-o-shām
lamha-lamha bikhartā rahtā huuñ
qadr kī sarzamīn banjar hai
maiñ bhī shādāb kartā rahtā huuñ
zaḳhm-e-dil kā ilaaj mumkin ho
namak-e-ġham se bhartā rahtā huuñ
lamhe-lamhe kā le le mujh se hisāb
jiitā rahtā huuñ martā rahtā huuñ
shāyad us kā surāġh mil jaa.e
apne andar utartā rahtā huuñ
subh ko sham karta rahta hun
mushkilon se guzarta rahta hun
kuchh na kuchh kaam karta rahta hun
KHud pe ilzam dharta rahta hun
KHushk patton ki tarah subh-o-sham
lamha-lamha bikharta rahta hun
qadr ki sarzamin banjar hai
main bhi shadab karta rahta hun
zaKHm-e-dil ka ilaj mumkin ho
namak-e-gham se bharta rahta hun
lamhe-lamhe ka le le mujh se hisab
jita rahta hun marta rahta hun
shayad us ka suragh mil jae
apne andar utarta rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.