subh leta hun sham leta hun
sub.h letā huuñ shaam letā huuñ
har ghaḌī terā naam letā huuñ
yaad aatī hai umr-e-rafta jab
haath se dil ko thaam letā huuñ
pesh aate haiñ hādse kyā kyā
sabr-o-himmat se kaam letā huuñ
apne zālim se dar-guzar kar ke
zulm kā intiqām letā huuñ
subh leta hun sham leta hun
har ghaDi tera nam leta hun
yaad aati hai umr-e-rafta jab
hath se dil ko tham leta hun
pesh aate hain hadse kya kya
sabr-o-himmat se kaam leta hun
apne zalim se dar-guzar kar ke
zulm ka intiqam leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.