Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah

Midhat-ul-Akhtar

subh main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah

Midhat-ul-Akhtar

MORE BYMidhat-ul-Akhtar

    sub.h maiñ sau kar uThā khāyā piyā kal tarah

    zindagī pyārī thī mujh ko liyā kal tarah

    jo milā hañs kar mile us se ḳhudā-hāfiz kahā

    aaj bhī jaarī rahī mashq-e-riyā kal tarah

    ham ne apne meñ Thānī aur ye kahte hue

    jo na karnā thā vahī sab kar liyā kal tarah

    aaj bhī kahte haiñ mujh ko log achchhā aadmī

    aaj bhī ban kar rahā huuñ bahrūpiyā kal tarah

    ḳhud se milne ke liye tanhā.ī kitnī chāhiye

    aaj bhī paayā na maiñ ne taḳhliya kal tarah

    piir ruumī aaj phir nikle haiñ kis khoj meñ

    apne hāthoñ meñ liye jaltā diyā kal tarah

    subh main sau kar uTha khaya piya kal ki tarah

    zindagi pyari thi mujh ko ji liya kal ki tarah

    jo mila hans kar mile us se KHuda-hafiz kaha

    aaj bhi jari rahi mashq-e-riya kal ki tarah

    hum ne apne ji mein Thani aur ye kahte hue

    jo na karna tha wahi sab kar liya kal ki tarah

    aaj bhi kahte hain mujh ko log achchha aadmi

    aaj bhi ban kar raha hun bahrupiya kal ki tarah

    KHud se milne ke liye tanhai kitni chahiye

    aaj bhi paya na main ne taKHliya kal ki tarah

    pir rumi aaj phir nikle hain kis ki khoj mein

    apne hathon mein liye jalta diya kal ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now