subh se thoDa idhar aur gai raat ke baad
sub.h se thoḌā idhar aur ga.ī raat ke ba.ad
lauT aayā huuñ daraḳhtoñ se mulāqāt ke ba.ad
ishq meñ rañg nahīñ nasl nahīñ shajra nahīñ
us kā āġhāz hai in sab ke mazāfāt ke ba.ad
abr barse to khil uThtī hai zamīñ kī ḳhushbū
ḳhushiyāñ miltī haiñ hamesha ka.ī sadmāt ke ba.ad
lutf hai māñgne meñ is liye ham māñgte haiñ
ham ko matlab nahīñ kyā hogā munājāt ke ba.ad
baat hairat kī to ye hai ke badal jaatī hai
merī auqāt tire hijr ke auqāt ke ba.ad
subh se thoDa idhar aur gai raat ke baad
lauT aaya hun daraKHton se mulaqat ke baad
ishq mein rang nahin nasl nahin shajra nahin
us ka aaghaz hai in sab ke mazafat ke baad
abr barse to khil uThti hai zamin ki KHushbu
KHushiyan milti hain hamesha kai sadmat ke baad
lutf hai mangne mein is liye hum mangte hain
hum ko matlab nahin kya hoga munajat ke baad
baat hairat ki to ye hai ke badal jati hai
meri auqat tere hijr ke auqat ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.