subh tak raqs-kunan bint-e-inab dekhenge
sub.h tak raqs-kunāñ bint-e-inab dekheñge
aaj vo turfa-tamāshā hai ki sab dekheñge
ġham-e-jānāñ ke ishāroñ kā taqāzā hai yahī
ġham-e-daurāñ nahīñ dekhā thā to ab dekheñge
hamdamo baaġh meñ har saal bahār aa.egī
ab nahīñ dekhne pā.eñge to jab dekheñge
sab hameñ ā.ina-e-husn-e-butāñ kahte haiñ
dekhnā ye hai ki is samt vo kab dekheñge
yuuñ na dekheñge vo ham naġhma-garoñ kī jānib
saaz meñ teġh kī jhankār ho jab dekheñge
raat ko jashn-e-charāġhāñ meñ magar parvāne
din guzāreñge to hangāma-e-shab dekheñge
rakh diyā aaj dar-e-yār pe sar 'ābid' ne
aaj vo turfa-tamāsha hai ki sab dekheñge
subh tak raqs-kunan bint-e-inab dekhenge
aaj wo turfa-tamasha hai ki sab dekhenge
gham-e-jaanan ke ishaaron ka taqaza hai yahi
gham-e-dauran nahin dekha tha to ab dekhenge
hamdamo bagh mein har sal bahaar aaegi
ab nahin dekhne paenge to jab dekhenge
sab hamein aaina-e-husn-e-butan kahte hain
dekhna ye hai ki is samt wo kab dekhenge
yun na dekhenge wo hum naghma-garon ki jaanib
saz mein tegh ki jhankar ho jab dekhenge
raat ko jashn-e-charaghan mein magar parwane
din guzarenge to hangama-e-shab dekhenge
rakh diya aaj dar-e-yar pe sar 'abid' ne
aaj wo turfa-tamasha hai ki sab dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.