subuk hun apni nigahon mein arz-e-haal ke baad
subuk huuñ apnī nigāhoñ meñ arz-e-hāl ke ba.ad
ki aabrū nahīñ rahtī kabhī savāl ke ba.ad
na pūchho dil ko huī haiñ aziyyateñ kyā kyā
kabhī savāl se pahle kabhī savāl ke ba.ad
zamīr kī vo musalsal malāmateñ tauba
milā hai dil ko sakūñ ashk-e-infi.āl ke ba.ad
qarār dil ko nahīñ thā qarār dil ko nahīñ
tire visāl se pahle tire visāl ke ba.ad
tire itaab sahe sabr se to lutf huā
tirā jamāl bhī dekhā tire jalāl ke ba.ad
zan-o-gumāñ se guzar kar tirā ḳhayāl aayā
koī ḳhayāl na aayā tire ḳhayāl ke ba.ad
maiñ dil to haar chukā jān-o-māl hāzir haiñ
'ḳhalish' ke paas hai kyā aur jān-o-māl ke ba.ad
subuk hun apni nigahon mein arz-e-haal ke baad
ki aabru nahin rahti kabhi sawal ke baad
na puchho dil ko hui hain aziyyaten kya kya
kabhi sawal se pahle kabhi sawal ke baad
zamir ki wo musalsal malamaten tauba
mila hai dil ko sakun ashk-e-infial ke baad
qarar dil ko nahin tha qarar dil ko nahin
tere visal se pahle tere visal ke baad
tere itab sahe sabr se to lutf hua
tera jamal bhi dekha tere jalal ke baad
zan-o-guman se guzar kar tera KHayal aaya
koi KHayal na aaya tere KHayal ke baad
main dil to haar chuka jaan-o-mal hazir hain
'KHalish' ke pas hai kya aur jaan-o-mal ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.