subu ko jam ko KHam ko sharab-KHane ko
subū ko jaam ko ḳham ko sharāb-ḳhāne ko
nigāh-e-mast ne Thukrā diyā zamāne ko
haqīqatoñ meñ jagah mil ga.ī fasāne ko
duā.eñ dījiye badle hue zamāne ko
badal ga.e jo kisī kī nigāh ke tevar
badal badal ke sunānā paḌā fasāne ko
jahāñ meñ kaun hai apnā kise sunā.ūñ maiñ
sunegā kaun mire dukh-bhare fasāne ko
ye hādsāt ye barbādiyāñ ye ḳhūñ-rezī
zamāna yaad karegā tire zamāne ko
jo hañs rahe haiñ musalsal mirī tabāhī par
taras na jaa.eñ kahīñ vo bhī muskurāne ko
ik aisā daur bhī aaya chaman meñ ai 'raunaq'
ḳhushī se ham ne jalāyā hai āshiyāne ko
subu ko jam ko KHam ko sharab-KHane ko
nigah-e-mast ne Thukra diya zamane ko
haqiqaton mein jagah mil gai fasane ko
duaen dijiye badle hue zamane ko
badal gae jo kisi ki nigah ke tewar
badal badal ke sunana paDa fasane ko
jahan mein kaun hai apna kise sunaun main
sunega kaun mere dukh-bhare fasane ko
ye hadsat ye barbaadiyan ye KHun-rezi
zamana yaad karega tere zamane ko
jo hans rahe hain musalsal meri tabahi par
taras na jaen kahin wo bhi muskurane ko
ek aisa daur bhi aaya chaman mein ai 'raunaq'
KHushi se hum ne jalaya hai aashiyane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.