subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya
subūt-e-jurm na milne kā phir bahāna kiyā
ki adliya ne vahī faisla purānā kiyā
havā ke apne masā.il haiñ aur charāġh ke bhī
na vo ġhalat na amal us ne mujrimāna kiyā
ye tum ne jañg kā unvān hī badal Daalā
alam sajāyā na lashkar koī ravāna kiyā
harī bharī thiiñ jo shāḳheñ vahī phalīñ phūlīñ
usī shajar ko parindoñ ne āshiyāna kiyā
savāl maiñ ne bhī rakkhe guzārishoñ kī tarah
badal ke us ne bhī andāz-e-dil-barāna kiyā
mire liye hī adāvat ke dar bhī khole ga.e
mire hī naam mohabbat kā bhī ḳhazāna kiyā
hamesha va.ade hue taaj ke havāle se
agarche taḳht ne va.ada kabhī vafā na kiyā
subut-e-jurm na milne ka phir bahana kiya
ki adliya ne wahi faisla purana kiya
hawa ke apne masail hain aur charagh ke bhi
na wo ghalat na amal us ne mujrimana kiya
ye tum ne jang ka unwan hi badal Dala
alam sajaya na lashkar koi rawana kiya
hari bhari thin jo shaKHen wahi phalin phulin
usi shajar ko parindon ne aashiyana kiya
sawal main ne bhi rakkhe guzarishon ki tarah
badal ke us ne bhi andaz-e-dil-barana kiya
mere liye hi adawat ke dar bhi khole gae
mere hi nam mohabbat ka bhi KHazana kiya
hamesha wade hue taj ke hawale se
agarche taKHt ne wada kabhi wafa na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.