suhane KHwab aankhon mein sanjona chahta hun
suhāne ḳhvāb āñkhoñ meñ sañjonā chāhtā huuñ
meñ ab ārām se kuchh der sonā chāhtā huuñ
shajar ko bār-āvar dekhnā maqsad nahīñ hai
ki meñ to bas zamīñ par ḳhvāb bonā chāhtā huuñ
mire hañste hue bachcho ye saarā ghar tumhārā
maiñ rone ke liye bas ek konā chāhtā huuñ
navāh-e-zīst meñ kyuuñ bārisheñ hotī nahīñ haiñ
maiñ pichhle mausamoñ ke zaḳhm dhonā chāhtā huuñ
bas us ke aane tak mausam mujhe sarsabz rakhnā
use ik ḳhaar ab maiñ bhī chubhonā chāhtā huuñ
mujhe be-ḳhvāb rakhtī hai kabhī duniyā kabhī dil
maiñ bachchoñ kī tarah be-fikr sonā chāhtā huuñ
havāo kyā tumhārā mehrbāñ shāna milegā
dahāḌeñ maar kar maiñ aaj ronā chāhtā huuñ
jise hai jaañ aziiz apnī utar jaa.e kināre
maiñ apnī naav maujoñ meñ Dubonā chāhtā huuñ
'salīm' ab āñdhiyoñ se ham-rakābī kis liye hai
sar-e-mizhgāñ bachā kyā hai ki khonā chāhtā huuñ
suhane KHwab aankhon mein sanjona chahta hun
mein ab aaram se kuchh der sona chahta hun
shajar ko bar-awar dekhna maqsad nahin hai
ki mein to bas zamin par KHwab bona chahta hun
mere hanste hue bachcho ye sara ghar tumhaara
main rone ke liye bas ek kona chahta hun
nawah-e-zist mein kyun barishen hoti nahin hain
main pichhle mausamon ke zaKHm dhona chahta hun
bas us ke aane tak mausam mujhe sarsabz rakhna
use ek KHar ab main bhi chubhona chahta hun
mujhe be-KHwab rakhti hai kabhi duniya kabhi dil
main bachchon ki tarah be-fikr sona chahta hun
hawao kya tumhaara mehrban shana milega
dahaDen mar kar main aaj rona chahta hun
jise hai jaan aziz apni utar jae kinare
main apni naw maujon mein Dubona chahta hun
'salim' ab aandhiyon se ham-rakabi kis liye hai
sar-e-mizhgan bacha kya hai ki khona chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.