suhane sapne aae hain
suhāne sapne aa.e haiñ
lubhāne sapne aa.e haiñ
mujhe manzil kī dāvat hai
bulāne sapne aa.e haiñ
mirī bedār āñkhoñ ko
sajāne sapne aa.e haiñ
maiñ ik muddat se soyā thā
jagāne sapne aa.e haiñ
mujhe paane tum aa.e ho
gañvāne sapne aa.e haiñ
ye sapne jā nahīñ sakte
churāne sapne aa.e haiñ
ye armāñ phir se toḌeñge
dikhāne sapne aa.e haiñ
nayā sā khel hai koī
purāne sapne aa.e haiñ
mujhe to āḳhirī dam tak
hañsāne sapne aa.e haiñ
ajab 'mahtāb' āñkhoñ ke
divāne sapne aa.e haiñ
suhane sapne aae hain
lubhane sapne aae hain
mujhe manzil ki dawat hai
bulane sapne aae hain
meri bedar aankhon ko
sajaane sapne aae hain
main ek muddat se soya tha
jagane sapne aae hain
mujhe pane tum aae ho
ganwane sapne aae hain
ye sapne ja nahin sakte
churane sapne aae hain
ye arman phir se toDenge
dikhane sapne aae hain
naya sa khel hai koi
purane sapne aae hain
mujhe to aaKHiri dam tak
hansane sapne aae hain
ajab 'mahtab' aankhon ke
diwane sapne aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.