suhani yaad ka dhoka na KHarch ho jae
suhānī yaad kā dhokā na ḳharch ho jaa.e
mirā ye āḳhirī sikka na ḳharch ho jaa.e
mujhe hai shauq mirā kam-suḳhan kahe kuchh to
use hai fikr ki jumla na ḳharch ho jaa.e
gulāb suukh na jaa.e kitāb meñ rakkhā
pas-e-naqāb hī chehra na ḳharch ho jaa.e
tumhārī aañkh meñ is vāste nahīñ takte
hamārī pyaas pe dariyā na ḳharch ho jaa.e
na yuuñ bhī saiñt ke rakkho ki bhuul hī jaao
paḌā paḌā koī puurā na ḳharch ho jaa.e
mujhe ḳhabar hai vo dariyā-mizāj aadmī hai
mujh aise dasht kā puurā na ḳharch ho jaa.e
suhani yaad ka dhoka na KHarch ho jae
mera ye aaKHiri sikka na KHarch ho jae
mujhe hai shauq mera kam-suKHan kahe kuchh to
use hai fikr ki jumla na KHarch ho jae
gulab sukh na jae kitab mein rakkha
pas-e-naqab hi chehra na KHarch ho jae
tumhaari aankh mein is waste nahin takte
hamari pyas pe dariya na KHarch ho jae
na yun bhi saint ke rakkho ki bhul hi jao
paDa paDa koi pura na KHarch ho jae
mujhe KHabar hai wo dariya-mizaj aadmi hai
mujh aise dasht ka pura na KHarch ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.