suhulat-e-gham-e-hijran ko kam kiya jae
suhūlat-e-ġham-e-hijrāñ ko kam kiyā jaa.e
ghuTan meñ taaza udāsī ko zam kiyā jaa.e
kitāb meñ to ka.ī phuul tum ne rakkhe haiñ
mirī jabīñ pe bhī bosā raqam kiyā jaa.e
maiñ puure din kī thakan ghar meñ le ke aayā huuñ
udāsiyo mujhe phir tāza-dam kiyā jaa.e
ka.ī gulāb ugāne haiñ is jagah mujh ko
badan kī ḳhushk zamīnoñ ko nam kiyā jaa.e
daraḳht TūTte pattoñ kā dukh samajhte haiñ
unheñ bhī shāmil-e-yārān-e-ġham kiyā jaa.e
tabīb ne mire nusḳhe meñ ye likhā 'sarmad'
marīz-e-ishq hai ġhazloñ kā dam kiyā jaa.e
suhulat-e-gham-e-hijran ko kam kiya jae
ghuTan mein taza udasi ko zam kiya jae
kitab mein to kai phul tum ne rakkhe hain
meri jabin pe bhi bosa raqam kiya jae
main pure din ki thakan ghar mein le ke aaya hun
udasiyo mujhe phir taza-dam kiya jae
kai gulab ugane hain is jagah mujh ko
badan ki KHushk zaminon ko nam kiya jae
daraKHt TuTte patton ka dukh samajhte hain
unhen bhi shamil-e-yaran-e-gham kiya jae
tabib ne mere nusKHe mein ye likha 'sarmad'
mariz-e-ishq hai ghazlon ka dam kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.