suhulat kam pareshani bahut hai
suhūlat kam pareshānī bahut hai
mohabbat meñ ye āsānī bahut hai
bahut lagtī hai dil ko is liye bhī
tumhārī baat lā-yānī bahut hai
use ḳhatra hai pyāsā dāman-e-dil
hamārī aañkh meñ paanī bahut hai
yahīñ kar lete haiñ sahrā-navardī
hamāre ghar meñ vīrānī bahut hai
ye manzar hī kuchh aisā hai ki yā phir
mirī āñkhoñ meñ uryānī bahut hai
chale jaanā hai is bastī se ham ne
ye bastī ham ko yaad aanī bahut hai
samajhtā hī nahīñ vo shaḳhs 'nāmī'
use har baat samjhānī bahut hai
suhulat kam pareshani bahut hai
mohabbat mein ye aasani bahut hai
bahut lagti hai dil ko is liye bhi
tumhaari baat la-yani bahut hai
use KHatra hai pyasa daman-e-dil
hamari aankh mein pani bahut hai
yahin kar lete hain sahra-nawardi
hamare ghar mein virani bahut hai
ye manzar hi kuchh aisa hai ki ya phir
meri aankhon mein uryani bahut hai
chale jaana hai is basti se hum ne
ye basti hum ko yaad aani bahut hai
samajhta hi nahin wo shaKHs 'nami'
use har baat samjhani bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.