sukh isi ek baat ka hai mujhe
sukh isī ek baat kā hai mujhe
merā bātin hī aa.inā hai mujhe
in se iz.hār kī tavaqqo hai
terī āñkhoñ meñ dekhnā hai mujhe
aap kā hijr āḳhirī dukh hai
aap kā ishq dūsrā hai mujhe
sāñs-dar-sāñs kar rahā huuñ adā
aur ye zindagī bhī kyā hai mujhe
mujh ko āvāz ab nahīñ darkār
merī ḳhāmoshī hī sadā hai mujhe
kaam duniyā ke kar liye saare
mahz ab us ko bhūlnā hai mujhe
ek mujh meñ hai mubtalā duniyā
aadmī kitnā sochtā hai mujhe
ya.anī bīnā.ī tak chalī jaa.e
yahī rone kī intihā hai mujhe
sukh isi ek baat ka hai mujhe
mera baatin hi aaina hai mujhe
in se izhaar ki tawaqqo hai
teri aankhon mein dekhna hai mujhe
aap ka hijr aaKHiri dukh hai
aap ka ishq dusra hai mujhe
sans-dar-sans kar raha hun ada
aur ye zindagi bhi kya hai mujhe
mujh ko aawaz ab nahin darkar
meri KHamoshi hi sada hai mujhe
kaam duniya ke kar liye sare
mahz ab us ko bhulna hai mujhe
ek mujh mein hai mubtala duniya
aadmi kitna sochta hai mujhe
yani binai tak chali jae
yahi rone ki intiha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.