suKHan-abaad ki tanhai mein ja rahne ka
suḳhan-ābād kī tanhā.ī meñ jā rahne kā
ham ko Dhab aatā hai pādāsh-e-hunar sahne kā
aap kī chashm meñ koī qamar aa.e to aa.e
rashk-e-ḳhurshīd huuñ so maiñ to nahīñ gahne kā
minnat-e-lafz-o-zabāñ kyūñki uThā.ī jaa.e
chashm-e-ḳhush-kār ko ma.alūm hai Dhab kahne kā
ek jaa.e to chalī aa.e digar mauj-e-kamāl
dīdanī bas-ki hai nazzāra mire bahne kā
bas meñ har nā-kas-o-kas ke nahīñ merī ta.amīr
kuchh ziyāda na ho nuqsān mire Dhahne kā
suKHan-abaad ki tanhai mein ja rahne ka
hum ko Dhab aata hai padash-e-hunar sahne ka
aap ki chashm mein koi qamar aae to aae
rashk-e-KHurshid hun so main to nahin gahne ka
minnat-e-lafz-o-zaban kyunki uThai jae
chashm-e-KHush-kar ko malum hai Dhab kahne ka
ek jae to chali aae digar mauj-e-kamal
didani bas-ki hai nazzara mere bahne ka
bas mein har na-kas-o-kas ke nahin meri tamir
kuchh ziyaada na ho nuqsan mere Dhahne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.