suKHan ek na-shunida mein nida hone se pahle tha
suḳhan ik nā-shunīda meñ nidā hone se pahle thā
ki jaise harf-e-haq pinhāñ sadā hone se pahle thā
udhar fir.auniyat kaafī hai terī rū-siyāhī ko
idhar tū banda-e-sarkash ḳhudā hone se pahle thā
dar-e-tauba khulā hai ab ġhalat hai sochnā terā
bahut ma.asūm tū shāyad sazā hone se pahle thā
mirī sīrat kī ḳhushbū ab havāoñ meñ mahaktī hai
magar maiñ itr-e-tanhā.ī sabā hone se pahle thā
ilāha aur illā kā aqīda ain īmāñ hai
mirī rag rag meñ ye maujūd lā hone se pahle thā
anāsir muttahid the jauharī zarrāt yakjā the
sabhī ko intizār-e-kun ḳhalā hone se pahle thā
suKHan ek na-shunida mein nida hone se pahle tha
ki jaise harf-e-haq pinhan sada hone se pahle tha
udhar firauniyat kafi hai teri ru-siyahi ko
idhar tu banda-e-sarkash KHuda hone se pahle tha
dar-e-tauba khula hai ab ghalat hai sochna tera
bahut masum tu shayad saza hone se pahle tha
meri sirat ki KHushbu ab hawaon mein mahakti hai
magar main itr-e-tanhai saba hone se pahle tha
ilaha aur illa ka aqida ain iman hai
meri rag rag mein ye maujud la hone se pahle tha
anasir muttahid the jauhari zarraat yakja the
sabhi ko intizar-e-kun KHala hone se pahle tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.