suKHan ka masala lafz-e-kitab tak nahin hai
suḳhan kā mas.ala lafz-e-kitāb tak nahīñ hai
ye kulliyāt mirā intiḳhāb tak nahīñ hai
gañvā ke umr uThā huuñ tumhārī niiñd se maiñ
malāl aañkh meñ aisā hai ḳhvāb tak nahīñ hai
ba-zo'm-e-sīna-e-kHālī mileñge ab us se
ki dekh le to kahe iztirāb tak nahīñ hai
vo chashm-e-qarz-farosh aa rahī hai so maiñ bhī
luTā rahā huuñ ki jo dastiyāb tak nahīñ hai
ḳhudā kare ki tire paañv se uTheñ hī nahīñ
par ab to haath uThāne kī taab tak nahīñ hai
suKHan ka masala lafz-e-kitab tak nahin hai
ye kulliyat mera intiKHab tak nahin hai
ganwa ke umr uTha hun tumhaari nind se main
malal aankh mein aisa hai KHwab tak nahin hai
ba-zo'm-e-sina-e-kHali milenge ab us se
ki dekh le to kahe iztirab tak nahin hai
wo chashm-e-qarz-farosh aa rahi hai so main bhi
luTa raha hun ki jo dastiyab tak nahin hai
KHuda kare ki tere panw se uThen hi nahin
par ab to hath uThane ki tab tak nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.