suKHan ke aainon ko pash pash karte rahe
suḳhan ke ā.inoñ ko paash paash karte rahe
ham apne lafzoñ meñ ma.anī talāsh karte rahe
lāvaToñ se raqīboñ ne jab bhī bahlāyā
mohabbatoñ ke sabhī raaz faash karte rahe
bachā thā kuchh jo ragoñ meñ lahū tamannā kā
usī ko bech ke hāsil ma.āsh karte rahe
shikast-e-rañg se ḳhushbū bhī reza reza huī
chaman meñ ham yahī reze talāsh karte rahe
anā kī raakh hai lipTī huī chaTTānoñ se
ye kaun log yahāñ būd-o-bāsh karte rahe
bichhaḌ ga.e the sar-e-shām hī jo ham se 'karam'
ham un sitāroñ ko shab-bhar talāsh karte rahe
suKHan ke aainon ko pash pash karte rahe
hum apne lafzon mein mani talash karte rahe
lawaTon se raqibon ne jab bhi bahlaya
mohabbaton ke sabhi raaz fash karte rahe
bacha tha kuchh jo ragon mein lahu tamanna ka
usi ko bech ke hasil maash karte rahe
shikast-e-rang se KHushbu bhi reza reza hui
chaman mein hum yahi reze talash karte rahe
ana ki rakh hai lipTi hui chaTTanon se
ye kaun log yahan bud-o-bash karte rahe
bichhaD gae the sar-e-sham hi jo hum se 'karam'
hum un sitaron ko shab-bhar talash karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.