suKHan ke shauq mein tauhin harf ki nahin ki
suḳhan ke shauq meñ tauhīn harf kī nahīñ kī
ki ham ne daad kī ḳhvāhish meñ shā.erī nahīñ kī
jo ḳhud-pasand the un se suḳhan kiyā kam kam
jo kaj-kulāh the un se to baat bhī nahīñ kī
kabhī bhī ham ne na kī koī baat maslahatan
munāfiqat kī himāyat, nahīñ, kabhī nahīñ kī
dikhā.ī detā kahāñ phir alag se apnā vajūd
so ham ne zaat kī tafhīm āḳhirī nahīñ kī
use batāyā nahīñ hai ki maiñ badan meñ nahīñ
jo baat sab se zarūrī hai vo abhī nahīñ kī
ba-nām-e-ḳhush-nafasī ham to aah bharte rahe
ki sirf rañj kiyā ham ne, zindagī nahīñ kī
hamesha dil ko mayassar rahī hai daulat-e-hijr
junūñ ke rizq meñ us ne kabhī kamī nahīñ kī
ba-sad ḳhulūs uThātā rahā sabhī ke ye naaz
hamāre dil ne hamārī hī dilbarī nahīñ kī
jise vatīra banā.e rahī vo chashm-e-ġhazāl
vo be-ruḳhī kī suhulat hameñ bhī thii, nahīñ kī
hai ek umr se ma.amūl roz kā 'irfān'
duā-e-radd-e-anā ham ne aaj hī nahīñ kī
suKHan ke shauq mein tauhin harf ki nahin ki
ki hum ne dad ki KHwahish mein shaeri nahin ki
jo KHud-pasand the un se suKHan kiya kam kam
jo kaj-kulah the un se to baat bhi nahin ki
kabhi bhi hum ne na ki koi baat maslahatan
munafiqat ki himayat, nahin, kabhi nahin ki
dikhai deta kahan phir alag se apna wajud
so hum ne zat ki tafhim aaKHiri nahin ki
use bataya nahin hai ki main badan mein nahin
jo baat sab se zaruri hai wo abhi nahin ki
ba-nam-e-KHush-nafasi hum to aah bharte rahe
ki sirf ranj kiya hum ne, zindagi nahin ki
hamesha dil ko mayassar rahi hai daulat-e-hijr
junun ke rizq mein us ne kabhi kami nahin ki
ba-sad KHulus uThata raha sabhi ke ye naz
hamare dil ne hamari hi dilbari nahin ki
jise watira banae rahi wo chashm-e-ghazal
wo be-ruKHi ki suhulat hamein bhi thi, nahin ki
hai ek umr se mamul roz ka 'irfan'
dua-e-radd-e-ana hum ne aaj hi nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.