suKHan ke shauqin to suna hai sanam bhi hain na
suKHan ke shauqin to suna hai sanam bhi hain na
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
suḳhan ke shauqīn to sunā hai sanam bhī haiñ nā
so is ta'alluq se un ko ham mohtaram bhī haiñ nā
mirī ġhazal meñ lahū kī ḳhushbū pe kyoñ hai hairat
mirī ġhazal meñ tumhāre shāmil karam bhī haiñ nā
ġhazal meñ matla' kaho to har-chand dekh lenā
ki misra’oñ ke qavāfī aapas meñ zam bhī haiñ nā
ḳhatā pe tum zāhiran mu'āfī to chāhte ho
tumhāre siine kī āñkheñ ai dost nam bhī haiñ nā
tū saat janmoñ ke mujh se vā'de kā kah rahā hai
tujhī pe qurbāñ agar hazāroñ janam bhī haiñ nā
tujhe mubārak kahūñ to kaise kahūñ moharram
ki tere andar vo kuchh kabīra se ġham bhī haiñ nā
safed shāḳhoñ ke peḌ dekhe to chhaT se 'tāhir'
ka.ī parinde pukār uTThe ki ham bhī haiñ nā
suKHan ke shauqin to suna hai sanam bhi hain na
so is ta'alluq se un ko hum mohtaram bhi hain na
meri ghazal mein lahu ki KHushbu pe kyon hai hairat
meri ghazal mein tumhaare shamil karam bhi hain na
ghazal mein matla' kaho to har-chand dekh lena
ki misra’on ke qawafi aapas mein zam bhi hain na
KHata pe tum zahiran mu'afi to chahte ho
tumhaare sine ki aankhen ai dost nam bhi hain na
tu sat janmon ke mujh se wa'de ka kah raha hai
tujhi pe qurban agar hazaron janam bhi hain na
tujhe mubarak kahun to kaise kahun moharram
ki tere andar wo kuchh kabira se gham bhi hain na
safed shaKHon ke peD dekhe to chhaT se 'tahir'
kai parinde pukar uTThe ki hum bhi hain na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.