suKHan ki dilkashi soz-e-dili lagti nahin mujhko
suḳhan kī dilkashī soz-e-dilī lagtī nahīñ mujh ko
ye laffāzī to jī kī bekalī lagtī nahīñ mujh ko
ye sach hai quvvat-e-tasḳhīr hotī hai mohabbat meñ
zafar-yābī magar harf-e-jalī lagtī nahīñ mujh ko
kisī shai kī kamī lagtī hai in afsurda rāhoñ meñ
usī kā shahr lekin vo galī lagtī nahīñ mujh ko
ḳhizāñ-baḳhtī meñ kab shāḳh-e-chaman par phuul khilte haiñ
hañsī ahbāb kī zinda-dilī lagtī nahīñ mujh ko
ba-zāhir bāġh-o-bāzār-o-makāñ sab lahlahāte haiñ
ye hariyālī magar phūlī-phalī lagtī nahīñ mujh ko
kisī āb-e-ravāñ par ḳhūbsūrat naav kāġhaz kī
vahī duniyā hai lekin kyuuñ bhalī lagtī nahīñ mujh ko
mulamma.a-kāriyāñ ashiyā meñ bhī insān meñ bhī haiñ
zamīñ fitrat ke sāñche meñ Dhalī lagtī nahīñ mujh ko
qalandar ḳhānqāh-o-madrasā meñ mast hai lekin
ye mastī faqr-e-bū-bakar-o-alī lagtī nahīñ mujh ko
suKHan ki dilkashi soz-e-dili lagti nahin mujh ko
ye laffazi to ji ki bekali lagti nahin mujh ko
ye sach hai quwwat-e-tasKHir hoti hai mohabbat mein
zafar-yabi magar harf-e-jali lagti nahin mujh ko
kisi shai ki kami lagti hai in afsurda rahon mein
usi ka shahr lekin wo gali lagti nahin mujh ko
KHizan-baKHti mein kab shaKH-e-chaman par phul khilte hain
hansi ahbab ki zinda-dili lagti nahin mujh ko
ba-zahir bagh-o-bazar-o-makan sab lahlahate hain
ye hariyali magar phuli-phali lagti nahin mujh ko
kisi aab-e-rawan par KHubsurat naw kaghaz ki
wahi duniya hai lekin kyun bhali lagti nahin mujh ko
mulamma-kariyan ashiya mein bhi insan mein bhi hain
zamin fitrat ke sanche mein Dhali lagti nahin mujh ko
qalandar KHanqah-o-madrasa mein mast hai lekin
ye masti faqr-e-bu-bakar-o-ali lagti nahin mujh ko
- Book : Qafas-e-Rang (Pg. 40)
- Author : Sayed Ameen Ashraf
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.