suKHan ki sham jali hai chamak uThi hai ghazal
suḳhan kī sham' jalī hai chamak uThī hai ġhazal
kahīñ se saaz chhiḌā aur thirak uThī hai ġhazal
tire ḳhayāloñ meñ gum ho ke dekhā hai aksar
tū soz ban ke jagā aur jhalak uThī hai ġhazal
mirā ye dil to jalā hai charāġh ban ke sadā
lahū ke qatre hī pī kar mahak uThī hai ġhazal
vo laakh parda-nashīñ ho zamāna-bhar ke liye
mirī pukār pe to be-jhijhak uThī hai ġhazal
suKHan ki sham' jali hai chamak uThi hai ghazal
kahin se saz chhiDa aur thirak uThi hai ghazal
tere KHayalon mein gum ho ke dekha hai aksar
tu soz ban ke jaga aur jhalak uThi hai ghazal
mera ye dil to jala hai charagh ban ke sada
lahu ke qatre hi pi kar mahak uThi hai ghazal
wo lakh parda-nashin ho zamana-bhar ke liye
meri pukar pe to be-jhijhak uThi hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.