Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suKHanwar gham kushada kar rahe hain

Mukesh Sharma Manmauji

suKHanwar gham kushada kar rahe hain

Mukesh Sharma Manmauji

MORE BYMukesh Sharma Manmauji

    suḳhanvar ġham kushāda kar rahe haiñ

    purāne zaḳhm taaza kar rahe haiñ

    koī samjhā.e ahl-e-‘aql un ko

    ġhamoñ ko kyoñ labāda kar rahe haiñ

    mohabbat ho ga.ī āsān shāyad

    na.e laḌke ziyāda kar rahe haiñ

    unheñ kis muñh se maiñ kah duuñ sitamgar

    vo ye sab hasb-e-vā’da kar rahe haiñ

    suKHanwar gham kushada kar rahe hain

    purane zaKHm taza kar rahe hain

    koi samjhae ahl-e-‘aql un ko

    ghamon ko kyon labaada kar rahe hain

    mohabbat ho gai aasan shayad

    nae laDke ziyaada kar rahe hain

    unhen kis munh se main kah dun sitamgar

    wo ye sab hasb-e-wa’da kar rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now