suKHanwari ka ye fan jo nibhana sikh gaya
suḳhanvarī kā ye fan jo nibhānā siikh gayā
maiñ apne dard ko darmāñ banānā siikh gayā
hazār tarah sikhāyā gayā magar afsos
samajh bhī paayā na vo aur zamānā siikh gayā
har imtihān meñ vo kāmyāb hotā hai
ḳhud apne aap ko jo āzmānā siikh gayā
ye baar baar kā isrār mujh ko le Duubā
vo tang aa ke bahāne banānā siikh gayā
kahāñ ubharnā kahāñ Dūbnā hai 'auj' mujhe
maiñ bahr-e-ishq meñ ġhote lagānā siikh gayā
suKHanwari ka ye fan jo nibhana sikh gaya
main apne dard ko darman banana sikh gaya
hazar tarah sikhaya gaya magar afsos
samajh bhi paya na wo aur zamana sikh gaya
har imtihan mein wo kaamyab hota hai
KHud apne aap ko jo aazmana sikh gaya
ye bar bar ka israr mujh ko le Duba
wo tang aa ke bahane banana sikh gaya
kahan ubharna kahan Dubna hai 'auj' mujhe
main bahr-e-ishq mein ghote lagana sikh gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.