suKHanwaron ki tarah ishtiyaq-e-did ke baad
suḳhanvaroñ kī tarah ishtiyāq-e-dīd ke baa'd
falak pe chāñd khañgālegā kaun 'iid ke baa'd
tamām shahr thā qatl-e-husain meñ shāmil
maiñ kitne naam ginā.ūñ tumheñ yazīd ke baa'd
saḌe gale hue miTTī ke ek putle ko
'atā hayāt huī bhī hai to va’ī.d ke baa'd
chaḌhā rahā hai vahī phuul qabr par merī
vatan ko bech diyā jis ne mujh shahīd ke baa'd
janāb-e-'mīr' kī mīrās haiñ mirī ġhazleñ
jadīd kyoñ maiñ banā.ūñ inheñ jadīd ke baa'd
tumheñ hī bāra-darī se guzar ke aanā thā
tumhīñ nikāloge gunjā.isheñ mazīd ke baa'd
sanā-e-husn na kartīñ to aur kyā kartīñ
mirī nigāheñ tirī be-hijāb diid ke baa'd
rakhe haiñ zaḳhm namak-dān-e-yād-e-māzī par
hamārā dard 'ayāñ kyoñ na ho shadīd ke baa'd
suKHanwaron ki tarah ishtiyaq-e-did ke ba'd
falak pe chand khangalega kaun 'id ke ba'd
tamam shahr tha qatl-e-husain mein shamil
main kitne nam ginaun tumhein yazid ke ba'd
saDe gale hue miTTi ke ek putle ko
'ata hayat hui bhi hai to wa’id ke ba'd
chaDha raha hai wahi phul qabr par meri
watan ko bech diya jis ne mujh shahid ke ba'd
janab-e-'mir' ki miras hain meri ghazlen
jadid kyon main banaun inhen jadid ke ba'd
tumhein hi bara-dari se guzar ke aana tha
tumhin nikaloge gunjaishen mazid ke ba'd
sana-e-husn na kartin to aur kya kartin
meri nigahen teri be-hijab did ke ba'd
rakhe hain zaKHm namak-dan-e-yaad-e-mazi par
hamara dard 'ayan kyon na ho shadid ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.