sukun-amoz betabi hai furqat mein fughan meri
sukūñ-āmoz betābi hai furqat meñ fuġhāñ merī
Thahartā hai jo dil pahlū meñ jaltī hai zabāñ merī
ḳhamoshī rang paidā kar rahī hai hasrat-e-dil kā
zabān-e-be-zabānī kah rahī hai dāstāñ merī
tumhīñ ne jab na hāl-e-bekasī-e-ġham sunā merā
mujhe ummīd kyā fariyād sun le āsmāñ merī
bayān-e-be-kasī par aa na jaa.e rahm kyā ma.anī
kisī din sun to lo tum dil lagā kar dāstāñ merī
banā 'taufīq' mil kar naqsh-e-hastī-o-adam merā
kaTī dam-bhar meñ mānind-e-sharar umr-e-ravāñ merī
sukun-amoz betabi hai furqat mein fughan meri
Thaharta hai jo dil pahlu mein jalti hai zaban meri
KHamoshi rang paida kar rahi hai hasrat-e-dil ka
zaban-e-be-zabani kah rahi hai dastan meri
tumhin ne jab na haal-e-bekasi-e-gham suna mera
mujhe ummid kya fariyaad sun le aasman meri
bayan-e-be-kasi par aa na jae rahm kya mani
kisi din sun to lo tum dil laga kar dastan meri
bana 'taufiq' mil kar naqsh-e-hasti-o-adam mera
kaTi dam-bhar mein manind-e-sharar umr-e-rawan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.