sukun-e-dil abhi laun kahan se
sukūn-e-dil abhī lā.ūñ kahāñ se
mujhe fursat nahīñ āh-o-fuġhāñ se
bahut hai kāhish-e-dard-e-mohabbat
hameñ kyā vāsta aish-e-jahāñ se
na pūchho mājrā-e-shauq ham se
kahīñ laġhzish na ho jaa.e zabāñ se
karam un kā tire hāl-e-zabūñ par
magar ye baat bāhar hai gumāñ se
abhī shar aur aafat to hai baaqī
sharāfat uTh ga.ī lekin jahāñ se
nasīhat bazm-e-vā.iz meñ huī thī
adab sīkhā magar bazm-e-butāñ se
ḳhabar hai un ko harf-e-mudda.ā kī
bhalā ham kyoñ kaheñ apnī zabāñ se
hai kaisī raushnī sahn-e-chaman meñ
girī hai barq shāyad āsmāñ se
na bar aa.ī tamanna dil kī 'nāsir'
uThe ham nā-murādāna jahāñ se
sukun-e-dil abhi laun kahan se
mujhe fursat nahin aah-o-fughan se
bahut hai kahish-e-dard-e-mohabbat
hamein kya wasta aish-e-jahan se
na puchho majra-e-shauq hum se
kahin laghzish na ho jae zaban se
karam un ka tere haal-e-zabun par
magar ye baat bahar hai guman se
abhi shar aur aafat to hai baqi
sharafat uTh gai lekin jahan se
nasihat bazm-e-waiz mein hui thi
adab sikha magar bazm-e-butan se
KHabar hai un ko harf-e-muddaa ki
bhala hum kyon kahen apni zaban se
hai kaisi raushni sahn-e-chaman mein
giri hai barq shayad aasman se
na bar aai tamanna dil ki 'nasir'
uThe hum na-muradana jahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.