sukun-e-dil ka koi rasta nahin milta
sukūn-e-dil kā koī rāsta nahīñ miltā
koī bhī dar tire dar ke sivā nahīñ miltā
vo zulmatoñ kā musāfir rahegā tā-ba-abad
jise jahāñ meñ tirā naqsh-e-pā nahīñ miltā
bikhar ga.e haiñ kahīñ yā ki uḌ ga.e haiñ hurūf
kitāb-e-zīst meñ kuchh bhī likhā nahīñ miltā
ye us kī zāt-e-muqaddas kā ik karishma hai
ki ik bashar se koī dūsrā nahīñ miltā
dayār-e-māh ko tasḳhīr kar liyā ham ne
ye aur baat ki apnā pata nahīñ miltā
sukun-e-dil ka koi rasta nahin milta
koi bhi dar tere dar ke siwa nahin milta
wo zulmaton ka musafir rahega ta-ba-abad
jise jahan mein tera naqsh-e-pa nahin milta
bikhar gae hain kahin ya ki uD gae hain huruf
kitab-e-zist mein kuchh bhi likha nahin milta
ye us ki zat-e-muqaddas ka ek karishma hai
ki ek bashar se koi dusra nahin milta
dayar-e-mah ko tasKHir kar liya hum ne
ye aur baat ki apna pata nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.