sukun-e-dil ki lazzat chahta hun
sukūn-e-dil kī lazzat chāhtā huuñ
faqīrī meñ ye daulat chāhtā huuñ
hukūmat kī mohabbat dushmanoñ ko
mohabbat kī hukūmat chāhtā huuñ
siyāsat kā añdherā chhā rahā hai
zarā nūr-e-sadāqat chāhtā huuñ
unheñ ye paañv phailānā mubārak
kahīñ maiñ bhī sukūnat chāhtā huuñ
bahut kyā chāhtā huuñ aadmī se
zarā sī ādamiyyat chāhtā huuñ
ga.e 'najm' ahl-e-dil duniyā se kitne
bas ab maiñ bhī ijāzat chāhtā huuñ
sukun-e-dil ki lazzat chahta hun
faqiri mein ye daulat chahta hun
hukumat ki mohabbat dushmanon ko
mohabbat ki hukumat chahta hun
siyasat ka andhera chha raha hai
zara nur-e-sadaqat chahta hun
unhen ye panw phailana mubarak
kahin main bhi sukunat chahta hun
bahut kya chahta hun aadmi se
zara si aadamiyyat chahta hun
gae 'najm' ahl-e-dil duniya se kitne
bas ab main bhi ijazat chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.