sukun-e-dil kisi rangin ada ne luT liya
sukūn-e-dil kisī rangīñ adā ne luuT liyā
sitam hai apne chaman ko ḳhizāñ ne luuT liyā
jo zarra thā vo tajallī meñ barq-e-aiman thā
nazar paḌī thī ki us barq-adā ne luuT liyā
kahāñ kī tauba-o-tā.at kahāñ kī rusvā.ī
matā.a-e-zohd ko uTh kar ghaTā ne luuT liyā
qafas meñ bhī na bachī jaan ġham-nasīboñ kī
yahāñ bhī mauj-e-nasīm-o-sabā ne luuT liyā
sitam ke baad to imkāñ nahīñ hai shikve kā
vo kyā kare jise terī vafā ne luuT liyā
tajalliyoñ ko kahe kaun jab do-ālam ko
tire hijāb kī dilkash adā ne luuT liyā
kahūñ maiñ is ke sivā apnā haal kyā 'shabbīr'
vafā-parast ko ik bevafā ne luuT liyā
sukun-e-dil kisi rangin ada ne luT liya
sitam hai apne chaman ko KHizan ne luT liya
jo zarra tha wo tajalli mein barq-e-aiman tha
nazar paDi thi ki us barq-ada ne luT liya
kahan ki tauba-o-taat kahan ki ruswai
mataa-e-zohd ko uTh kar ghaTa ne luT liya
qafas mein bhi na bachi jaan gham-nasibon ki
yahan bhi mauj-e-nasim-o-saba ne luT liya
sitam ke baad to imkan nahin hai shikwe ka
wo kya kare jise teri wafa ne luT liya
tajalliyon ko kahe kaun jab do-alam ko
tere hijab ki dilkash ada ne luT liya
kahun main is ke siwa apna haal kya 'shabbir'
wafa-parast ko ek bewafa ne luT liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.