sukun-e-dil ko mera iztirab kya jaane
sukūn-e-dil ko mirā iztirāb kyā jaane
shikast-e-ḳhvāb ko tābīr-e-ḳhvāb kyā jaane
vo munkashif hai abhī sirf dasht-o-sahrā par
jo kaif-e-tishna-labī hai vo aab kyā jaane
nashāt-e-sajda se jis ko ġharaz hai vo banda
jhukā de sar to azāb-o-savāb kyā jaane
vo zindagī se adā sīkhtā hai jiine kī
tamām chehre jo paḌh le kitāb kyā jaane
asīr-e-shauq to izn-e-safar kā tālib hai
maqām-e-aish ko ḳhāna-ḳharāb kyā jaane
sukun-e-dil ko mera iztirab kya jaane
shikast-e-KHwab ko tabir-e-KHwab kya jaane
wo munkashif hai abhi sirf dasht-o-sahra par
jo kaif-e-tishna-labi hai wo aab kya jaane
nashat-e-sajda se jis ko gharaz hai wo banda
jhuka de sar to azab-o-sawab kya jaane
wo zindagi se ada sikhta hai jine ki
tamam chehre jo paDh le kitab kya jaane
asir-e-shauq to izn-e-safar ka talib hai
maqam-e-aish ko KHana-KHarab kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.