sukun-e-dil na sahi josh-e-iztirab to hai
sukūn-e-dil na sahī josh-e-iztirāb to hai
hisāb terī ināyat kā be-hisāb to hai
yahāñ qayām-e-masarrat kā naqsh kaise mile
jahāñ masā.ib-e-paiham kā ek baab to hai
fasāna dil kā pahuñchtā hai dekhiye un tak
nigāh-e-shauq sar-e-bazm be-hijāb to hai
qafas udaas fazā dam-ba-ḳhud chaman vīrāñ
ba-qadr-e-dard fuġhāñ aaj kāmyāb to hai
ḳhudā kā shukr ki 'az.har' ba-yād-e-lutf-e-bahār
ḳhizāñ ke jaur uThāne kī dil meñ taab to hai
sukun-e-dil na sahi josh-e-iztirab to hai
hisab teri inayat ka be-hisab to hai
yahan qayam-e-masarrat ka naqsh kaise mile
jahan masaib-e-paiham ka ek bab to hai
fasana dil ka pahunchta hai dekhiye un tak
nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab to hai
qafas udas faza dam-ba-KHud chaman viran
ba-qadr-e-dard fughan aaj kaamyab to hai
KHuda ka shukr ki 'azhar' ba-yaad-e-lutf-e-bahaar
KHizan ke jaur uThane ki dil mein tab to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.