sukun-e-qalb gaya ruh ka qarar gaya
sukūn-e-qalb gayā ruuh kā qarār gayā
vo kyā ga.e ki zamāne kā e.atibār gayā
tumhāre naam pe ro lenā aah bhar lenā
Dhalī jo umr to jazboñ kā sab ḳhumār gayā
maiñ daf.atan laraz uThtā huuñ jab ye sochtā huuñ
ki umr kaise tire hijr meñ guzār gayā
ye irtiqā-e-zamāna ki daur-e-pastī hai
ki jis meñ pyaar vafā sab kā e.atibār gayā
ye kis ne ā.ina-e-zīst ko jilā baḳhshī
ye kaun kākul-e-hastī ko phir sañvār gayā
shikast ishq meñ hotī to darguzar kartā
maiñ bad-nasīb magar dostī meñ haar gayā
kisī se jab bhī kisī kī jafā kā zikr sunā
mirā ḳhayāl tirī samt baar baar gayā
bisāt-e-ishq kī chāleñ 'salīm' thiiñ hī ajiib
jo jīt.tā nazar aaya vo ḳhud ko haar gayā
sukun-e-qalb gaya ruh ka qarar gaya
wo kya gae ki zamane ka eatibar gaya
tumhaare nam pe ro lena aah bhar lena
Dhali jo umr to jazbon ka sab KHumar gaya
main dafatan laraz uThta hun jab ye sochta hun
ki umr kaise tere hijr mein guzar gaya
ye irtiqa-e-zamana ki daur-e-pasti hai
ki jis mein pyar wafa sab ka eatibar gaya
ye kis ne aaina-e-zist ko jila baKHshi
ye kaun kakul-e-hasti ko phir sanwar gaya
shikast ishq mein hoti to darguzar karta
main bad-nasib magar dosti mein haar gaya
kisi se jab bhi kisi ki jafa ka zikr suna
mera KHayal teri samt bar bar gaya
bisat-e-ishq ki chaalen 'salim' thin hi ajib
jo jitta nazar aaya wo KHud ko haar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.