sukun-e-qalb ho tum ruh ka qarar ho tum
sukūn-e-qalb ho tum ruuh kā qarār ho tum
mirī hayāt-e-mohabbat ke rāzdār ho tum
nigāh-e-nāz se luuTe haiñ mere qalb-o-jigar
asīr-e-zulf kiyā us ke zimmedār ho tum
mire zamīr ne samjhā mirī nazar ne kahā
mirī talab ke liye husn-e-intizār ho tum
sukūn-e-qalb milā hai hamārī mahfil meñ
mirī nigāh kā markaz ho mere yaar ho tum
judā judā haiñ nigāheñ judā judā hai ḳhayāl
mirī nigāh meñ bas shān-e-kirdgār ho tum
mire chaman kī tabāhī kisī ko kyā ma.alūm
ḳhizāñ-rasīda chaman kī mire bahār ho tum
jahāñ meñ apne parā.e sabhī muḳhālif haiñ
'ġhubār' ġham meñ magar mere ġham-gusār ho tum
sukun-e-qalb ho tum ruh ka qarar ho tum
meri hayat-e-mohabbat ke raazdar ho tum
nigah-e-naz se luTe hain mere qalb-o-jigar
asir-e-zulf kiya us ke zimmedar ho tum
mere zamir ne samjha meri nazar ne kaha
meri talab ke liye husn-e-intizar ho tum
sukun-e-qalb mila hai hamari mahfil mein
meri nigah ka markaz ho mere yar ho tum
juda juda hain nigahen juda juda hai KHayal
meri nigah mein bas shan-e-kirdgar ho tum
mere chaman ki tabahi kisi ko kya malum
KHizan-rasida chaman ki mere bahaar ho tum
jahan mein apne parae sabhi muKHalif hain
'ghubar' gham mein magar mere gham-gusar ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.