sukun-e-qalb nihan hai hasin nazaron mein
sukūn-e-qalb nihāñ hai hasīñ nazāroñ meñ
mohabbatoñ ke haiñ paiġhām ābshāroñ meñ
na pūchh hijr ke māroñ kā hāl-e-dil ham se
azaab sahte haiñ tanhā.ī kā bahāroñ meñ
har ek mauj meñ hangāma hai qayāmat kā
sukūt kitnā hai dekho zarā kināroñ meñ
kisī bhī taur ye bilkul sanad nahīñ bantī
baḌhā ke pesh jo karte haiñ ishtihāroñ meñ
kuchh is mizāj se jīvan yahāñ guzārā hai
hamārā naam bhī aa.egā ḳhāksāroñ meñ
use bhī ham to ġhanīmat hī jānte haiñ aaj
'nazar' jo aate haiñ do chaar ġham-gusāroñ meñ
hamārā sab se baḌā alamiya yahī to hai
ye dahr baT jo gayā hai ka.ī hisāroñ meñ
zarūrī kyā hai har ik baat khul ke kahne kī
batāyā kījiye kuchh kuchh 'nazar' ishāroñ meñ
sukun-e-qalb nihan hai hasin nazaron mein
mohabbaton ke hain paigham aabshaaron mein
na puchh hijr ke maron ka haal-e-dil hum se
azab sahte hain tanhai ka bahaaron mein
har ek mauj mein hangama hai qayamat ka
sukut kitna hai dekho zara kinaron mein
kisi bhi taur ye bilkul sanad nahin banti
baDha ke pesh jo karte hain ishtihaaron mein
kuchh is mizaj se jiwan yahan guzara hai
hamara nam bhi aaega KHaksaron mein
use bhi hum to ghanimat hi jaante hain aaj
'nazar' jo aate hain do chaar gham-gusaron mein
hamara sab se baDa alamiya yahi to hai
ye dahr baT jo gaya hai kai hisaron mein
zaruri kya hai har ek baat khul ke kahne ki
bataya kijiye kuchh kuchh 'nazar' ishaaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.