sukun-e-qalb pana hai to sajda-rez ho jao
sukūn-e-qalb paanā hai to sajda-rez ho jaao
banānā hai muqaddar ko to phir tabrez ho jaao
jahāñ meñ kis kī changezī rahī socho zarā yaaro
ye kis ne kah diyā tum se ki tum changez ho jaao
hameñ ham se judā karne kī jur.at hai yahāñ kis meñ
laḌāo aur jahāñ-bānī karo añgrez ho jaao
kahīñ khetī harī aḳhlāq kī banjar na ho jaa.e
ḳhulūs-o-pyār kā paikar bano zarḳhez ho jaao
bujhāne tishnagī apnī zamāna chal ke aa.egā
'razā' pahle samundar kī tarah labrez ho jaao
sukun-e-qalb pana hai to sajda-rez ho jao
banana hai muqaddar ko to phir tabrez ho jao
jahan mein kis ki changezi rahi socho zara yaro
ye kis ne kah diya tum se ki tum changez ho jao
hamein hum se juda karne ki jurat hai yahan kis mein
laDao aur jahan-bani karo angrez ho jao
kahin kheti hari aKHlaq ki banjar na ho jae
KHulus-o-pyar ka paikar bano zarKHez ho jao
bujhane tishnagi apni zamana chal ke aaega
'raza' pahle samundar ki tarah labrez ho jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.