sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin
sukūn-e-zīst bhī khonā koī mazāq nahīñ
ġhazal meñ dard pironā koī mazāq nahīñ
ye dil nikāl ke rakhnā tū pahle kāġhaz par
phir āñsuoñ se bhigonā koī mazāq nahīñ
kisī kī niiñd uḌānā to phir bhī āsāñ hai
magar sukūn se sonā koī mazāq nahīñ
safar hayāt kā chalnā hai jaise sho'loñ par
ġhamoñ ke bojh ko Dhonā koī mazāq nahīñ
lahū tamām hī ashkoñ meñ Dhaltā jaatā hai
kisī kī yaad meñ ronā koī mazāq nahīñ
ḳhushī nasīb meñ sab ke likhī nahīñ hotī
hasīn ḳhvāb sañjonā koī mazāq nahīñ
liyā mazāq meñ jis ne gayā vo duniyā se
kahā thā maiñ ne corona koī mazāq nahīñ
ye shā'irī hai tamāsha nahīñ koī sāhib
lahū se aañkh kā dhonā koī mazāq nahīñ
naqāb oḌh le koī 'nazar' sharāfat kā
magar sharīf bhī honā koī mazāq nahīñ
sukun-e-zist bhi khona koi mazaq nahin
ghazal mein dard pirona koi mazaq nahin
ye dil nikal ke rakhna tu pahle kaghaz par
phir aansuon se bhigona koi mazaq nahin
kisi ki nind uDana to phir bhi aasan hai
magar sukun se sona koi mazaq nahin
safar hayat ka chalna hai jaise sho'lon par
ghamon ke bojh ko Dhona koi mazaq nahin
lahu tamam hi ashkon mein Dhalta jata hai
kisi ki yaad mein rona koi mazaq nahin
KHushi nasib mein sab ke likhi nahin hoti
hasin KHwab sanjona koi mazaq nahin
liya mazaq mein jis ne gaya wo duniya se
kaha tha main ne corona koi mazaq nahin
ye sha'iri hai tamasha nahin koi sahib
lahu se aankh ka dhona koi mazaq nahin
naqab oDh le koi 'nazar' sharafat ka
magar sharif bhi hona koi mazaq nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.