sukun-e-zindagi hasil nahin hai
sukūn-e-zindagī hāsil nahīñ hai
abhī banda kisī qābil nahīñ hai
masā.ib se gurezāñ hone vaale
vo kyā insān jis ke dil nahīñ hai
samajhtā ho jo ḳhud ko sab se qābil
yaqīnan vo kisī qābil nahīñ hai
mohabbat lab pe ho aur dil meñ nafrat
mirī tīnat meñ ye shāmil nahīñ hai
ma.āl-e-kashtī-o-tūfāñ na pūchho
ye lagtā hai kahīñ sāhil nahīñ hai
jise chāho jahāñ barbād kar do
tumheñ āsān hai mushkil nahīñ hai
kisī bhī shaḳhs se nafrat baratnā
mire ādāb meñ dāḳhil nahīñ hai
koī itnā batā de zālimoñ ko
ḳhudā mazlūm se ġhāfil nahīñ hai
jahāñ shākī hai tujh se ai mire dost
nahīñ hai koī to 'manzil' nahīñ hai
sukun-e-zindagi hasil nahin hai
abhi banda kisi qabil nahin hai
masaib se gurezan hone wale
wo kya insan jis ke dil nahin hai
samajhta ho jo KHud ko sab se qabil
yaqinan wo kisi qabil nahin hai
mohabbat lab pe ho aur dil mein nafrat
meri tinat mein ye shamil nahin hai
maal-e-kashti-o-tufan na puchho
ye lagta hai kahin sahil nahin hai
jise chaho jahan barbaad kar do
tumhein aasan hai mushkil nahin hai
kisi bhi shaKHs se nafrat baratna
mere aadab mein daKHil nahin hai
koi itna bata de zalimon ko
KHuda mazlum se ghafil nahin hai
jahan shaki hai tujh se ai mere dost
nahin hai koi to 'manzil' nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.