sukun hamein nahin hasil nahin qarar aae
sukūñ hameñ nahīñ hāsil nahīñ qarār aa.e
ḳhizāñ kā Thahrā hai mausam kahāñ bahār aa.e
kabhī Tahal ke jo aa.e purānī galiyoñ se
qasam ḳhudā kī bahut ho ke be-qarār aa.e
tavīl hai ye shab-e-ġham basar nahīñ mumkin
na jaane kyoñ vo tasavvur meñ baar baar aa.e
likhā hai jis kī bhī qismat meñ jo mile us ko
gulāb hisse kisī ke kisī ke ḳhaar aa.e
zamān-e-hijr na palTā na vasl-e-yār huā
nasīb meñ hai mire hisse intizār aa.e
sukun hamein nahin hasil nahin qarar aae
KHizan ka Thahra hai mausam kahan bahaar aae
kabhi Tahal ke jo aae purani galiyon se
qasam KHuda ki bahut ho ke be-qarar aae
tawil hai ye shab-e-gham basar nahin mumkin
na jaane kyon wo tasawwur mein bar bar aae
likha hai jis ki bhi qismat mein jo mile us ko
gulab hisse kisi ke kisi ke KHar aae
zaman-e-hijr na palTa na wasl-e-yar hua
nasib mein hai mere hisse intizar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.