sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai
sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai
Kamal Kataria Karan
MORE BYKamal Kataria Karan
sukūn jis ko samajh ke dāman meñ rakh liyā vo tamām dukh hai
jise mohabbat samajh rahe the huzūr us kā hī naam dukh hai
qafas meñ tanhā.ī ke alāva bhī ek shai hai jo mo'atabar hai
maiñ tajrabe se ye kah rahā huuñ sahūlatoñ kā nizām dukh hai
adab karūñ ki lihāz ahmaq nafas nafas par huā hai qābiz
najāt mushkil hai ab to goyā mire badan kā imaam dukh hai
sañbhāltā huuñ baḌī muravvat se apne dil meñ tumhāre tohfe
mirī taraf se tumhāre baḳhshe alam kā bas ehtirām dukh hai
kamāl hai ye ab unsiyat ke tamām pahlū badal ga.e haiñ
jo marhala thā masarratoñ kā ab ishq kā vo maqām dukh hai
kise chuneñgī ye faisla ham tirī nigāhoñ pe chhoḌte haiñ
tamāsh-bīñ hai mirī mohabbat fareb-e-ulfat ba-nām dukh hai
tumhāre hisse ke din sunahre tumhāre hisse kī raat pūnam
hamāre hisse udaas sub.heñ hamāre hisse kī shaam dukh hai
hazār aañsū udāsiyāñ ġham ye dard mazmūn-e-shā.erī haiñ
suno kabhī ġhaur se to jaano 'karan' kā har ik kalām dukh hai
sukun jis ko samajh ke daman mein rakh liya wo tamam dukh hai
jise mohabbat samajh rahe the huzur us ka hi nam dukh hai
qafas mein tanhai ke alawa bhi ek shai hai jo mo'atabar hai
main tajrabe se ye kah raha hun sahulaton ka nizam dukh hai
adab karun ki lihaz ahmaq nafas nafas par hua hai qabiz
najat mushkil hai ab to goya mere badan ka imam dukh hai
sanbhaalta hun baDi murawwat se apne dil mein tumhaare tohfe
meri taraf se tumhaare baKHshe alam ka bas ehtiram dukh hai
kamal hai ye ab unsiyat ke tamam pahlu badal gae hain
jo marhala tha masarraton ka ab ishq ka wo maqam dukh hai
kise chunengi ye faisla hum teri nigahon pe chhoDte hain
tamash-bin hai meri mohabbat fareb-e-ulfat ba-nam dukh hai
tumhaare hisse ke din sunahre tumhaare hisse ki raat punam
hamare hisse udas subhen hamare hisse ki sham dukh hai
hazar aansu udasiyan gham ye dard mazmun-e-shaeri hain
suno kabhi ghaur se to jaano 'karan' ka har ek kalam dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.