sukun ka ek bhi lamha jo dil ko milta hai
sukūñ kā ek bhī lamha jo dil ko miltā hai
ye dil ḳhayāl kī vaadī meñ jā nikaltā hai
ye raushnī mire dil meñ tire ḳhayāloñ kī
ki ik charāġh sā vīrāñ-kade meñ jaltā hai
mahak rahī hai tirī yaad kī kalī aise
ki phuul jaise bayābāñ meñ koī khiltā hai
ḳhalā meñ merī nazar jab kahīñ aTaktī hai
tire vajūd kā paikar vahīñ pe Dhaltā hai
nazar meñ taare se 'shāhīñ' chamakne lagte haiñ
ye dil jo shiddat-e-jazbāt se machaltā hai
sukun ka ek bhi lamha jo dil ko milta hai
ye dil KHayal ki wadi mein ja nikalta hai
ye raushni mere dil mein tere KHayalon ki
ki ek charagh sa viran-kade mein jalta hai
mahak rahi hai teri yaad ki kali aise
ki phul jaise bayaban mein koi khilta hai
KHala mein meri nazar jab kahin aTakti hai
tere wajud ka paikar wahin pe Dhalta hai
nazar mein tare se 'shahin' chamakne lagte hain
ye dil jo shiddat-e-jazbaat se machalta hai
- Book : Shora-e-London (Pg. 119)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.