sukun kahin bhi nahin bazm-e-kaamrani mein
sukūñ kahīñ bhī nahīñ bazm-e-kāmrānī meñ
masāfateñ nahīñ tai hotīñ lā-makānī meñ
diloñ meñ nuur hai tarsīl-e-gosh-e-kar bhī ho
payām jaate nahīñ tarz-e-lan-tarānī meñ
maiñ huuñ fidā-e-ḳhumār-e-'alas-sabāhī ab
koī na lutf bachā jām-e-arġhavānī meñ
ḳhudī hamesha muqābil rahī hai tūfāñ kī
yaqīn is ko nahīñ bād-o-bādbānī meñ
ġhurūr-o-zo'm-e-tajāhul tumheñ miTā degā
falak-gazīda bahut dekhe ḳhush-gumānī meñ
jahāñ sunī thī kabhī dāstān-e-fariyādī
koī nifāq nashista hai be-zabānī meñ
kahe hai 'āhan'-e-dil-gashta harf-e-shīrīñ jo
huzūr-e-zehn se samjheñge kam-lisānī meñ
sukun kahin bhi nahin bazm-e-kaamrani mein
masafaten nahin tai hotin la-makani mein
dilon mein nur hai tarsil-e-gosh-e-kar bhi ho
payam jate nahin tarz-e-lan-tarani mein
main hun fida-e-KHumar-e-'alas-sabahi ab
koi na lutf bacha jam-e-arghawani mein
KHudi hamesha muqabil rahi hai tufan ki
yaqin is ko nahin baad-o-baadbani mein
ghurur-o-zo'm-e-tajahul tumhein miTa dega
falak-gazida bahut dekhe KHush-gumani mein
jahan suni thi kabhi dastan-e-fariyaadi
koi nifaq nashista hai be-zabani mein
kahe hai 'ahan'-e-dil-gashta harf-e-shirin jo
huzur-e-zehn se samjhenge kam-lisani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.