Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun ki chhanw mein jalne ka majra hai ajib

Shahid Ahmad Shoaib

sukun ki chhanw mein jalne ka majra hai ajib

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    sukūñ chhāñv meñ jalne mājrā hai ajiib

    hamāre dil bhī logo mo.āmla hai ajiib

    batā ai paikar-e-lamhāt kuchh huā hai ajiib

    na raushnī na añdherā tirī qabā hai ajiib

    tirī zamīñ to hai be-mehvarī samt ravāñ

    tirā safar ho salāmat ki rāsta hai ajiib

    kahīñ bhī jumbish-e-yak-lamha tak naam nahīñ

    dayār-e-dil to is baar zalzala hai ajiib

    koī to de mirī āñkhoñ ko niiñd sauġhāt

    yahāñ to jāgtī rātoñ silsila hai ajiib

    qarār-e-qalb bhī DhūñDeñ to kis liye DhūñDeñ

    qarār-e-qalb se aage rāsta hai ajiib

    najāt ab tirī mumkin nahīñ kahīñ bhī 'sho.aib'

    hujūm-e-dard ab ke muhāsara hai ajiib

    sukun ki chhanw mein jalne ka majra hai ajib

    hamare dil ka bhi logo moamla hai ajib

    bata ai paikar-e-lamhat kuchh hua hai ajib

    na raushni na andhera teri qaba hai ajib

    teri zamin to hai be-mehwari ki samt rawan

    tera safar ho salamat ki rasta hai ajib

    kahin bhi jumbish-e-yak-lamha tak ka nam nahin

    dayar-e-dil ka to is bar zalzala hai ajib

    koi to de meri aankhon ko nind ki saughat

    yahan to jagti raaton ka silsila hai ajib

    qarar-e-qalb bhi DhunDen to kis liye DhunDen

    qarar-e-qalb se aage ka rasta hai ajib

    najat ab teri mumkin nahin kahin bhi 'shoaib'

    hujum-e-dard ka ab ke muhasara hai ajib

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now