sukun ki mauj uThi shor-o-shar rawana hua
sukūñ kī mauj uThī shor-o-shar ravāna huā
mirā varūd harīfoñ ko tāziyāna huā
ba-pās-e-vaz.a mirā maslak-e-vafā hai vahī
agarche aap ko badle hue zamāna huā
ḳhushā vo sar ki jhukā jo had-e-ta.ayyun meñ
zahe vo sajda ki jo sarf-e-āstāna huā
sitam kiyā jo ba-manshā-e-dushmanī tū ne
mirī taraf se javāb us kā muḳhlisāna huā
ġham-e-hayāt kī derīna sarguzisht na pūchh
tirī nigāh ko badle hue zamāna huā
vo un se pā.egā dād-e-kalām ai 'nudrat'
mazāq jis kī tabī.at kā āshiqāna huā
sukun ki mauj uThi shor-o-shar rawana hua
mera warud harifon ko taziyana hua
ba-pas-e-waza mera maslak-e-wafa hai wahi
agarche aap ko badle hue zamana hua
KHusha wo sar ki jhuka jo had-e-tayyun mein
zahe wo sajda ki jo sarf-e-astana hua
sitam kiya jo ba-mansha-e-dushmani tu ne
meri taraf se jawab us ka muKHlisana hua
gham-e-hayat ki derina sarguzisht na puchh
teri nigah ko badle hue zamana hua
wo un se paega dad-e-kalam ai 'nudrat'
mazaq jis ki tabiat ka aashiqana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.