sukun kisi ko mayassar nahin chaman mein abhi
sukūñ kisī ko mayassar nahīñ chaman meñ abhī
bahut se ḳhaar haiñ phūloñ ke pairahan meñ abhī
nasīm-e-sub.h ne gul to bahut khilā.e haiñ
magar bahār na aa.ī mire chaman meñ abhī
mujhe ye naaz ki ashkoñ ko pī rahā huuñ maiñ
unheñ ye ġham kī añdherā hai anjuman meñ abhī
chaman pe hai ye karam bū-e-ġhuncha-o-gul kā
ki irtibāt hai baaqī lab-o-dahan meñ abhī
ye kis ḳhayāl ke aate hī chhaT ga.ī 'nashtar'
jo tīrgī thī ḳhayāloñ kī anjuman meñ abhī
sukun kisi ko mayassar nahin chaman mein abhi
bahut se KHar hain phulon ke pairahan mein abhi
nasim-e-subh ne gul to bahut khilae hain
magar bahaar na aai mere chaman mein abhi
mujhe ye naz ki ashkon ko pi raha hun main
unhen ye gham ki andhera hai anjuman mein abhi
chaman pe hai ye karam bu-e-ghuncha-o-gul ka
ki irtibaat hai baqi lab-o-dahan mein abhi
ye kis KHayal ke aate hi chhaT gai 'nashtar'
jo tirgi thi KHayalon ki anjuman mein abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.