sukūñ mil gayā hai qarār aa gayā hai
kisī par hameñ e'tibār aa gayā hai
qafas meñ bhī kaisī bahār aa ga.ī hai
qafas meñ jo zikr-e-bahār aa gayā hai
un āñkhoñ ko dekhā hai maḳhmūr jab se
in āñkhoñ meñ bhī kuchh ḳhumār aa gayā hai
malā hai dam-e-sub.h-e-shabnam ne ġhāza
ye kyuuñ rū-e-gul par nikhār aa gayā hai
'munavvar' ko dekhā to kuchh log samjhe
sar-e-bazm ik bāda-ḳhvār aa gayā hai
sukun mil gaya hai qarar aa gaya hai
kisi par hamein e'tibar aa gaya hai
qafas mein bhi kaisi bahaar aa gai hai
qafas mein jo zikr-e-bahaar aa gaya hai
un aankhon ko dekha hai maKHmur jab se
in aankhon mein bhi kuchh KHumar aa gaya hai
mala hai dam-e-subh-e-shabnam ne ghaza
ye kyun ru-e-gul par nikhaar aa gaya hai
'munawwar' ko dekha to kuchh log samjhe
sar-e-bazm ek baada-KHwar aa gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.